
Farishte Adam Ko Jannat Se Rukhsat Karte Hain
Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril
Atta Huwi Hai Tujhe Roz-o-Shab Ki Betabi
Khabar Nahin Ke Tu Khaki Hai Ye Ke Seemabi
عطا ہوئی ہے تجھے روز و شب کی بیتابی
خبر نہیں کہ تو خاکی ہے یا کہ سیمابی
Suna Hai, Khak Se Teri Namood Hai, Lekin
Teri Sarisht Mein Hai Kokabi-o-Mehtabi
سنا ہے خاک سے تیری نمود ہے لیکن
تری سرشت میں ہے کوکبی و مہتابی
Jamal Apna Agar Khawab Mein Bhi Tu Dekhe
Hazar Hosh Se Khushtar Teri Shukar Khawabi
جمال اپنا اگر خواب میں بھی تو دیکھے
ہزار ہوش سے خوشتر تری شکر خوابی
Garan Baha Hai Tera Girya-e-Sehargahi
Issi Se Hai Tere Nakhl-e-Kuhan Ki Shadabi
گراں بہا ہے ترا گریۂ سحر گاہی
اسی سے ہے ترے نخل کہن کی شادابی
Teri Nawa Se Hai Be-Parda Zindagi Ka Zameer
Ke Tere Saaz Ki Fitrat Ne Ki Hai Mizrabi
تری نوا سے ہے بے پردہ زندگی کا ضمیر
کہ تیرے ساز کی فطرت نے کی ہے مضرابی
Akhtar-e-Subah – Sitara Subah Ka Rota Tha Aur Ye Kehta Tha
Sultani – Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta Hai
Kahun Kya Arzu-e-Be-Dili Mujh Ko Kahan Tak Hai – Allama Iqbal
Aik Naujawan Ke Naam – Allama Iqbal Poetry