
Dastur – Dip Jis Ka Mahallat Hi Mein Jale
Faiz Ahmad Faiz
Dip Jis Ka Mahallat Hi Mein Jale
Chand Logon Ki Khushiyon Ko Le Kar Chale
Wo Jo Sae Mein Har Maslahat Ke Pale
Aise Dastur Ko Subh-E-Be-Nur Ko
Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Main Bhi Khaif Nahin Takhta-E-Dar Se
Main Bhi Mansur Hun Kah Do Aghyar Se
Kyun Daraate Ho Zindan Ki Diwar Se
Zulm Ki Baat Ko Jahl Ki Raat Ko
Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Phul Shakhon Pe Khilne Lage Tum Kaho
Jam Rindon Ko Milne Lage Tum Kaho
Chaak Sinon Ke Silne Lage Tum Kaho
Is Khule Jhut Ko Zehn Ki Lut Ko
Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Tum Ne Luta Hai Sadiyon Hamara Sukun
Ab Na Hum Par Chalega Tumhara Fusun
Chaaragar Dardmandon Ke Bante Ho Kyun
Tum Nahin Chaaragar Koi Mane Magar
Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
دیپ جس کا محلات ہی میں جلے
چند لوگوں کی خوشیوں کو لے کر چلے
وہ جو سائے میں ہر مصلحت کے پلے
ایسے دستور کو صبح بے نور کو
میں نہیں مانتا میں نہیں جانتا
میں بھی خائف نہیں تختۂ دار سے
میں بھی منصور ہوں کہہ دو اغیار سے
کیوں ڈراتے ہو زنداں کی دیوار سے
ظلم کی بات کو جہل کی رات کو
میں نہیں مانتا میں نہیں جانتا
پھول شاخوں پہ کھلنے لگے تم کہو
جام رندوں کو ملنے لگے تم کہو
چاک سینوں کے سلنے لگے تم کہو
اس کھلے جھوٹ کو ذہن کی لوٹ کو
میں نہیں مانتا میں نہیں جانتا
تم نے لوٹا ہے صدیوں ہمارا سکوں
اب نہ ہم پر چلے گا تمہارا فسوں
چارہ گر دردمندوں کے بنتے ہو کیوں
تم نہیں چارہ گر کوئی مانے مگر
میں نہیں مانتا میں نہیں جانتا
Read More:
Bol Ki Lab Aazad Hain Tere – Faiz Ahmad Faiz Full Poetry
Chalo Ek Bar Phir Se Ajnabi Ban Jaen Hum Donon
Na Saliqa Mujh Mein Kaleem Ka – Allama Iqbal Poetry