
Sari Duniya Ke Gham Hamare Hain
Sari Duniya Ke Gham Hamare Hain
Aur Sitam Ye Ki Hum Tumhaare Hain
Dil-E-Barbaad Ye Khayal Rahe
Us Ne Gesu Nahin Sanware Hain
Un Rafiqon Se Sharm Aati Hai
Jo Mera Sath De Ke Haare Hain
Aur To Hum Ne Kya Kiya Ab Tak
Ye Kiya Hai Ki Din Guzare Hain
Us Gali Se Jo Ho Ke Aae Hon
Ab To Wo Rah-Rau Bhi Pyare Hain
‘Jaun’ Hum Zindagi Ki Rahon Mein
Apni Tanha-Rawi Ke Mare Hain
ساری دنیا کے غم ہمارے ہیں
اور ستم یہ کہ ہم تمہارے ہیں
دل برباد یہ خیال رہے
اس نے گیسو نہیں سنوارے ہیں
ان رفیقوں سے شرم آتی ہے
جو مرا ساتھ دے کے ہارے ہیں
اور تو ہم نے کیا کیا اب تک
یہ کیا ہے کہ دن گزارے ہیں
اس گلی سے جو ہو کے آئے ہوں
اب تو وہ راہرو بھی پیارے ہیں
جونؔ ہم زندگی کی راہوں میں
اپنی تنہا روی کے مارے ہیں
Read More Jaun Elia Poetry:
Saare Rishte Tabah Kar Aaya
Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha
Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar e Wafa Nahi Kiya
Haalat-e-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi
Gahe Gahe Bas Ab Yehi Ho Kia