
Koi Haalat Nahin Ye Haalat Hai
Jaun Elia Poetry
Koi Haalat Nahin Ye Haalat Hai
Ye To Aashob-Nak Surat Hai
Anjuman Mein Ye Meri KHamoshi
Burdbari Nahin Hai Wahshat Hai
Tujh Se Ye Gah-Gah Ka Shikwa
Jab Talak Hai Basa Ghanimat Hai
KHwahishen Dil Ka Sath ChhoD Gain
Ye Aziyyat BaDi Aziyyat Hai
Log Masruf Jaante Hain Mujhe
Yan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai
Tanz Pairaya-E-Tabassum Mein
Is Takalluf Ki Kya Zarurat Hai
Hum Ne Dekha To Hum Ne Ye Dekha
Jo Nahin Hai Wo KHub-Surat Hai
War Karne Ko Jaan-Nisar Aaen
Ye To Isar Hai ‘Inayat Hai
Garm-Joshi Aur Is Qadar Kya Baat
Kya Tumhein Mujh Se Kuchh Shikayat Hai
Ab Nikal Aao Apne Andar Se
Ghar Mein Saman Ki Zarurat Hai
Aaj Ka Din Bhi ‘Aish Se Guzra
Sar Se Pa Tak Badan Salamat Hai
کوئی حالت نہیں یہ حالت ہے
یہ تو آشوب ناک صورت ہے
انجمن میں یہ میری خاموشی
بردباری نہیں ہے وحشت ہے
تجھ سے یہ گاہ گاہ کا شکوہ
جب تلک ہے بسا غنیمت ہے
خواہشیں دل کا ساتھ چھوڑ گئیں
یہ اذیت بڑی اذیت ہے
لوگ مصروف جانتے ہیں مجھے
یاں مرا غم ہی میری فرصت ہے
طنز پیرایۂ تبسم میں
اس تکلف کی کیا ضرورت ہے
ہم نے دیکھا تو ہم نے یہ دیکھا
جو نہیں ہے وہ خوبصورت ہے
وار کرنے کو جاں نثار آئیں
یہ تو ایثار ہے عنایت ہے
گرم جوشی اور اس قدر کیا بات
کیا تمہیں مجھ سے کچھ شکایت ہے
اب نکل آؤ اپنے اندر سے
گھر میں سامان کی ضرورت ہے
آج کا دن بھی عیش سے گزرا
سر سے پا تک بدن سلامت ہے
Read More:
Sari Duniya Ke Gham Hamare Hain
Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai
Hum Jee Rahe Hain Koi Bahana Kiye Bagair
Tumhara Hijr Mana Loon Agar Ijazat Ho