Jaun Elia

Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main – Jaun Elia Poetry

Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main
Jaun Elia Poetry


Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main

Sab Ke Dil Se Utar Gaya Hun Main

Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karun
Sun Raha Hun Ki Ghar Gaya Hun Main

Kya Bataun Ki Mar Nahin Pata
Jite-Ji Jab Se Mar Gaya Hun Main

Ab Hai Bas Apna Samna Dar-Pesh
Har Kisi Se Guzar Gaya Hun Main

Wahi Naz-O-Ada Wahi Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hun Main

Ajab Ilzam Hun Zamane Ka
Ki Yahan Sab Ke Sar Gaya Hun Main

Kabhi Khud Tak Pahunch Nahin Paya
Jab Ki Wan Umr Bhar Gaya Hun Main

Tum Se Jaanan Mila Hun Jis Din Se
Be-Tarah Khud Se Dar Gaya Hun Main

Ku-E-Jaanan Mein Sog Barpa Hai
Ki Achanak Sudhar Gaya Hun Main

 

اک ہنر ہے جو کر گیا ہوں میں
سب کے دل سے اتر گیا ہوں میں

کیسے اپنی ہنسی کو ضبط کروں
سن رہا ہوں کہ گھر گیا ہوں میں

کیا بتاؤں کہ مر نہیں پاتا
جیتے جی جب سے مر گیا ہوں میں

اب ہے بس اپنا سامنا در پیش
ہر کسی سے گزر گیا ہوں میں

وہی ناز و ادا وہی غمزے
سر بہ سر آپ پر گیا ہوں میں

عجب الزام ہوں زمانے کا
کہ یہاں سب کے سر گیا ہوں میں

کبھی خود تک پہنچ نہیں پایا
جب کہ واں عمر بھر گیا ہوں میں

تم سے جاناں ملا ہوں جس دن سے
بے طرح خود سے ڈر گیا ہوں میں

کوئے جاناں میں سوگ برپا ہے
کہ اچانک سدھر گیا ہوں میں

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *