
Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharab Aaye
Faiz Ahmad Faiz Poetry in Urdu
Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharab Aaye
Is Ke Baad Aaye Jo Azab Aaye
Baam-e-Mina Se Mahtab Utre
Dast-e-Saqi Mein Aaftaab Aaye
Har Rag-e-Khun Mein Phir Charaghan Ho
Samne Phir Wo Be-Naqab Aaye
Umr Ke Har Waraq Pe Dil Ki Nazar
Teri Mehr-O-Wafa Ke Bab Aaye
Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab
Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye
Na Gai Tere Gham Ki Sardari
Dil Mein Yun Roz Inqalab Aaye
Jal Uthe Bazm-e-Ghair Ke Dar-O-Baam
Jab Bhi Hum Khanuman-Kharab Aaye
Is Tarah Apni Khamoshi Gunji
Goya Har Samt Se Jawab Aaye
‘Faiz’ Thi Rah Sar-Ba-Sar Manzil
Hum Jahan Pahunche Kamyab Aaye
آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے
اس کے بعد آئے جو عذاب آئے
بام مینا سے ماہتاب اترے
دست ساقی میں آفتاب آئے
ہر رگ خوں میں پھر چراغاں ہو
سامنے پھر وہ بے نقاب آئے
عمر کے ہر ورق پہ دل کی نظر
تیری مہر و وفا کے باب آئے
کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے
نہ گئی تیرے غم کی سرداری
دل میں یوں روز انقلاب آئے
جل اٹھے بزم غیر کے در و بام
جب بھی ہم خانماں خراب آئے
اس طرح اپنی خامشی گونجی
گویا ہر سمت سے جواب آئے
فیضؔ تھی راہ سر بسر منزل
ہم جہاں پہنچے کامیاب آئے
Ek Hi Muzhda Subh Lati Hai – Jaun Elia Poetry
Wo Firaq Aur Wo Visal Kahan – Mirza Ghalib Poetry
Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya – Mohsin Naqvi