Uncategorised

Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai (Urdu Poetry)

Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai

Poet: Ahmad Mushtaq

Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai
Wo Isi Shahr Ki Galiyon Mein Kahin Rahta Hai

Jis Ki Sanson Se Mahakte The Dar-O-Baam Tere
Ai Makan Bol Kahan Ab Wo Makin Rahta Hai

Ek Zamana Tha Ki Sab Ek Jagah Rahte The
Aur Ab Koi Kahin Koi Kahin Rahta Hai

Roz Milne Pe Bhi Lagta Tha Ki Jug Bit Gae
Ishq Mein Waqt Ka Ehsas Nahin Rahta Hai

Dil Fasurda To Hua Dekh Ke Us Ko Lekin
Umar Bhar Kaun Jawan Kaun Hasin Rahta Hai

مل ہی جائے گا کبھی دل کو یقیں رہتا ہے
وہ اسی شہر کی گلیوں میں کہیں رہتا ہے

جس کی سانسوں سے مہکتے تھے در و بام ترے
اے مکاں بول کہاں اب وہ مکیں رہتا ہے

اک زمانہ تھا کہ سب ایک جگہ رہتے تھے
اور اب کوئی کہیں کوئی کہیں رہتا ہے

روز ملنے پہ بھی لگتا تھا کہ جگ بیت گئے
عشق میں وقت کا احساس نہیں رہتا ہے

دل فسردہ تو ہوا دیکھ کے اس کو لیکن
عمر بھر کون جواں کون حسیں رہتا ہے

 

Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Hum (Lyrics)
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz
Gahe Gahe Bas Ab Yahi Ho Kya – Jaun Elia Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *