
Ahl-E-Dil Aur Bhi Hain Ahl-E-Wafa Aur Bhi Hain
Sahir Ludhianvi Poetry in Urdu
Ahl-E-Dil Aur Bhi Hain Ahl-E-Wafa Aur Bhi Hain
Ek Hum Hi Nahin Duniya Se Khafa Aur Bhi Hain
Hum Pe Hi Khatm Nahin Maslak-E-Shorida-Sari
Chaak-E-Dil Aur Bhi Hain Chaak-E-Qaba Aur Bhi Hain
Kya Hua Gar Mere Yaron Ki Zabanen Chup Hain
Mere Shahid Mere Yaron Ke Siwa Aur Bhi Hain
Sar Salamat Hai To Kya Sang-E-Malamat Ki Kami
Jaan Baaqi Hai To Paikan-E-Qaza Aur Bhi Hain
Munsif-E-Shahr Ki Wahdat Pe Na Harf Aa Jae
Log Kehte Hain Ki Arbab-E-Jafa Aur Bhi Hain
اہل دل اور بھی ہیں اہل وفا اور بھی ہیں
ایک ہم ہی نہیں دنیا سے خفا اور بھی ہیں
ہم پہ ہی ختم نہیں مسلک شوریدہ سری
چاک دل اور بھی ہیں چاک قبا اور بھی ہیں
کیا ہوا گر مرے یاروں کی زبانیں چپ ہیں
میرے شاہد مرے یاروں کے سوا اور بھی ہیں
سر سلامت ہے تو کیا سنگ ملامت کی کمی
جان باقی ہے تو پیکان قضا اور بھی ہیں
منصف شہر کی وحدت پہ نہ حرف آ جائے
لوگ کہتے ہیں کہ ارباب جفا اور بھی ہیں
Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai (Urdu Poetry)
Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi – Jaun Elia Poetry
Bol Ki Lab Aazad Hain Tere – Faiz Ahmad Faiz Full Poetry