Mohsin Naqvi

Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha – Mohsin Naqvi

Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha

Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha
Apni Kachi Bastiyon Ko Be Nishan Hona Hi Tha

Kis Ke Bas Mein Tha Hawa Ki Wahshaton Ko Rokna
Barg-E-Gul Ko Khak Sholay Ko Dhuwan Hona Hi Tha

Jab Koi Simt-E-Safar Tay Thi Na Had Rahguzar
Ae Mere Rah-Ro Safar To Raigaan Hona Hi Tha

Mujh Ko Rukna Tha Use Jana Tha Agle Mod Tak
Faisla Ye Us Ke Mere Darmiyan Hona Hi Tha

Chaand Ko Chalna Tha Behti Sipiyon Ke Saath Saath
Mo’jza Ye Bhi Teh-E-Aab Rawaan Hona Hi Tha

Main Naye Chehron Pe Kehta Tha Nayi Ghazlen Sada
Meri Is Aadat Se Us Ko Bad Gumaan Hona Hi Tha

Shehr Se Bahar Ki Weerani Basana Thi Mujhe
Apni Tanhai Pe Kuch To Meherbaan Hona Hi Tha

Apni Aankhen Dafn Karna Thi Ghubar-E-Khaak Mein
Ye Sitam Bhi Hum Pe Zair-E-Aasmaan Hona Hi Tha

Be-Sada Basti Ki Rasmein Thi Yehi Mohsin Mere
Main Zabaan Rakhta Tha Mujh Ko Be-Zabaan Hona Hi Tha

Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha
Mohsin Naqvi Poetry in Urdu

اب کے بارش میں تو یہ کار زیاں ہونا ہی تھا
اپنی کچی بستیوں کو بے نشاں ہونا ہی تھا

کس کے بس میں تھا ہوا کی وحشتوں کو روکنا
برگ گل کو خاک شعلے کو دھواں ہونا ہی تھا

جب کوئی سمت سفر طے تھی نہ حد رہ گزر
اے مرے رہ رو سفر تو رائیگاں ہونا ہی تھا

مجھ کو رکنا تھا اسے جانا تھا اگلے موڑ تک
فیصلہ یہ اس کے میرے درمیاں ہونا ہی تھا

چاند کو چلنا تھا بہتی سیپیوں کے ساتھ ساتھ
معجزہ یہ بھی تہہ آب رواں ہونا ہی تھا

میں نئے چہروں پہ کہتا تھا نئی غزلیں سدا
میری اس عادت سے اس کو بد گماں ہونا ہی تھا

شہر سے باہر کی ویرانی بسانا تھی مجھے
اپنی تنہائی پہ کچھ تو مہرباں ہونا ہی تھا

اپنی آنکھیں دفن کرنا تھیں غبار خاک میں
یہ ستم بھی ہم پہ زیر آسماں ہونا ہی تھا

بے صدا بستی کی رسمیں تھیں یہی محسنؔ مرے
میں زباں رکھتا تھا مجھ کو بے زباں ہونا ہی تھا

 

Agarche Main Ek Chatan Sa Aadmi Raha Hoon
Azab-E-Deed Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *