
Zikr-E-Shab-E-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Mohabbat Use Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat Use Bhi Thi
Us Raat Der Tak Woh Raha Mahw-E-Guftagu
Masroof Main Bhi Kam Tha Faraghat Use Bhi Thi
Mujh Se Bichhad Ke Shehar Mein Ghul Mil Gaya Woh Shakhs
Halaanke Shehar Bhar Se Adaawat Use Bhi Thi
Woh Mujh Se Badh Ke Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya
Warna Har Ek Saans Qayamat Use Bhi Thi
Sunta Tha Woh Bhi Sab Se Purani Kahaniyan
Shaayad Rafiqaton Ki Zarurat Use Bhi Thi
Tanha Hua Safar Mein To Mujh Pe Khula Yeh Bhed
Saaye Se Pyaar Dhoop Se Nafrat Use Bhi Thi
Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Yun Bhi Haal-E-Dil
Darpesh Ek Taaza Museebat Use Bhi Thi
Zikr-E-Shab-E-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi
Mohsin Naqvi Poetry in Urdu
ذکر شب فراق سے وحشت اسے بھی تھی
میری طرح کسی سے محبت اسے بھی تھی
مجھ کو بھی شوق تھا نئے چہروں کی دید کا
رستہ بدل کے چلنے کی عادت اسے بھی تھی
اس رات دیر تک وہ رہا محو گفتگو
مصروف میں بھی کم تھا فراغت اسے بھی تھی
مجھ سے بچھڑ کے شہر میں گھل مل گیا وہ شخص
حالانکہ شہر بھر سے عداوت اسے بھی تھی
وہ مجھ سے بڑھ کے ضبط کا عادی تھا جی گیا
ورنہ ہر ایک سانس قیامت اسے بھی تھی
سنتا تھا وہ بھی سب سے پرانی کہانیاں
شاید رفاقتوں کی ضرورت اسے بھی تھی
تنہا ہوا سفر میں تو مجھ پہ کھلا یہ بھید
سائے سے پیار دھوپ سے نفرت اسے بھی تھی
محسنؔ میں اس سے کہہ نہ سکا یوں بھی حال دل
درپیش ایک تازہ مصیبت اسے بھی تھی
Ab Yeh Sochun To Bhanwar Zehan Mein Par Jaate Hain
Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha
Azab-E-Deed Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke