
Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye
Parveen Shakir Poetry
Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye
Yunhi Umar Saari Guzar Di
Yunhi Zindagi Ke Sitam Sahe
Kabhi Neend Mein Kabhi Hosh Mein
Tu Jahan Mila Tujhe Dekh Kar
Na Nazar Mili Na Zubaan Hili
Yunhi Sar Jhuka Ke Guzar Gaye
Kabhi Zulf Par Kabhi Chashm Par
Kabhi Tere Haseen Wujood Par
Jo Pasand The Meri Kitaab Mein
Woh She’r Saare Bikhar Gaye
Mujhe Yaad Hai Kabhi Aik The
Magar Aaj Hum Hain Juda Juda
Woh Juda Huye To Sanwar Gaye
Hum Juda Huye To Bikhar Gaye
Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par
Kabhi Unke Dar Kabhi Dar Badar
Gham-e-Aashiqui Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye
کبھی رُک گئے کبھی چل دئیے
کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے
یونہی عمر ساری گزار دی
یونہی زندگی کے ستم سہے
کبھی نیند میں کبھی ہوش میں
تُو جہاں ملا تجھے دیکھ کر
نہ نظر ملی نہ زباں ہلی
یونہی سر جھکا کے گزر گئے
کبھی زلف پر کبھی چشم پر
کبھی تیرے حسیں وجود پر
جو پسند تھے میری کتاب میں
وہ شعر سارے بکھر گئے
مجھے یاد ہے کبھی ایک تھے
مگر آج ہم ہیں جدا جدا
وہ جدا ہوئے تو سنور گئے
ہم جدا ہوئے تو بکھر گئے
کبھی عرش پر کبھی فرش پر
کبھی اُن کے در کبھی در بدر
غمِ عاشقی تیرا شکریہ
ہم کہاں کہاں سے گزر گئے
Zikr-E-Shab-E-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi – Mohsin Naqvi
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz
Hamesha Der Kar Deta Hun Main – Munir Niazi Poetry