
Baat Phoolon Ki Suna Karte The
Saghar Siddiqi Poetry
Baat Phoolon Ki Suna Karte The
Hum Kabhi She’r Kaha Karte The
Mashalein Le Ke Tumhare Gham Ki
Hum Andheron Mein Chala Karte The
Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale
Chot Kha Kar Jo Dua Karte The
Tark Ehsas E Mohabbat Mushkil
Haan Magar Ahl E Wafa Karte The
Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale
Qafle Rok Liya Karte The
Aaj Gulshan Mein Shagufe Saghar
Shikwa E Baad E Saba Karte The
بات پھولوں کی سنا کرتے تھے
ہم کبھی شعر کہا کرتے تھے
مشعلیں لے کے تمہارے غم کی
ہم اندھیروں میں چلا کرتے تھے
اب کہاں ایسی طبیعت والے
چوٹ کھا کر جو دعا کرتے تھے
ترک احساس محبت مشکل
ہاں مگر اہل وفا کرتے تھے
بکھری بکھری ہوئی زلفوں والے
قافلے روک لیا کرتے تھے
آج گلشن میں شگوفے ساغرؔ
شکوۂ باد صبا کرتے تھے
Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Qateel Shifai
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha – Parveen Shakir
Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha – Mohsin Naqvi