
Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai
Poet: Khumar Barabankavai
Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai
Diya Jal Raha Hai Hawa Chal Rahi Hai
Sukoon Hi Sukoon Hai Khushi Hi Khushi Hai
Tera Gham Salamat Mujhe Kya Kami Hai
Khatak Gadgadi Ka Maza De Rahi Hai
Jise Ishq Kehte Hain Shayad Yahi Hai
Woh Maujood Hain Aur Unki Kami Hai
Mohabbat Bhi Tanhai Daimi Hai
Chiraghon Ke Badle Makaan Jal Rahe Hain
Naya Hai Zamana Nai Roshni Hai
Arey O Jafaon Pe Chup Rehne Walo
Khamoshi Jafaon Ki Taid Bhi Hai
Mere Rahbar Mujh Ko Gumrah Kar De
Suna Hai Ke Manzil Qareeb Aa Gayi Hai
Khumar Balanosh To Aur Toba
Tujhe Zahidon Ki Nazar Lag Gayi Hai
نہ ہارا ہے عشق اور نہ دنیا تھکی ہے
دیا جل رہا ہے ہوا چل رہی ہے
سکوں ہی سکوں ہے خوشی ہی خوشی ہے
ترا غم سلامت مجھے کیا کمی ہے
کھٹک گدگدی کا مزا دے رہی ہے
جسے عشق کہتے ہیں شاید یہی ہے
وہ موجود ہیں اور ان کی کمی ہے
محبت بھی تنہائی دائمی ہے
چراغوں کے بدلے مکاں جل رہے ہیں
نیا ہے زمانہ نئی روشنی ہے
ارے او جفاؤں پہ چپ رہنے والو
خموشی جفاؤں کی تائید بھی ہے
مرے راہبر مجھ کو گمراہ کر دے
سنا ہے کہ منزل قریب آ گئی ہے
خمارؔ بلا نوش تو اور توبہ
تجھے زاہدوں کی نظر لگ گئی ہے
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai – Jaan Nisar Akhter
Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon – Urdu Poetry
Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha – Mohsin Naqvi