Urdu Poetry (Misc)

Aisaa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi – Khumar Barabankvi

Aisaa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi

Khumar Barabankvi – Poetry

Aisaa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi,
Jazbaat Men Wo Pehli Si Shiddat Nahin Rahi.

ایسا نہیں کہ اُن سے محبّت نہیں رہی
جذبات میں وہ پہلی سی شِدّت نہیں رہی

Sar Mein Wo Intezaar Ka Saudaa Nahin Rahaa ,
Dil Par Wo Dhadkanon Ki Hukoomat Nahin Rahi.

سر میں وہ اِنتظار کا سودا نہیں رہا
دِل پر وہ دھڑکنوں کی حکومت نہیں رہی

Paiham Tawaaf-E-Koochaa-E-Jaanaa Ke Din Gaye,
Pairon Men Chalne Phirne Ki Taaqat Nahin Rahi.

پیہم طوافِ کوچۂ جاناں کے دِن گئے
پیروں میں چلنے پھرنے کی طاقت نہیں رہی

Chehre Ki Jhurriyon Ne Bhayaanak Bana Diyaa,
Aainaa Dekhne Ki Bhi Himmat Nahin Rahi.

چہرے کو جُھرّیوں نے بھیانک بنا دیا
آئینہ دیکھنے کی بھی ہمّت نہیں رہی

Kamzori-E-Nigaah Ne Sanjeeda Kar Diya ,
Jalwon Se Chhed-Chhaar Ki Aadat Nahin Rahi.

کمزوریِ نِگاہ نے سنجیدہ کر دیا
جَلووں سے چھیڑ چھاڑ کی عادت نہیں رہی

ALLAH Jaane Maut Kahaan Mar Gayi ‘Khumar’
Ab Mujh Ko Zindagi Ki Zaroorat Nahin Rahi.

اللہ جانے موت کہاں مر گئی خمار
اب مُجھ کو زندگی کی ضرُورت نہیں رہی

Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte – Urdu Poetry
Baat Phoolon Ki Suna Karte The – Saghar Siddiqi Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *