
Waarasta Us Se Hain Ke Mohabbat Hi Kyun Na Ho
Poet: Mirza Ghalib
Waarasta Us Se Hain Ke Mohabbat Hi Kyun Na Ho
Kijye Hamare Sath Adawat Hi Kyun Na Ho
Chhoda Na Mujh Mein Zauf Ne Rang Ikhtilat Ka
Hai Dil Pe Baar Naqsh Mohabbat Hi Kyun Na Ho
Hai Mujh Ko Tujh Se Tazkira-E-Ghair Ka Gala
Har Chand Bar Sabeel Shikayat Hi Kyun Na Ho
Paida Hui Hai Kehte Hain Har Dard Ki Dawa
Yoon Ho To Chaar-E-Gham Uffat Hi Kyun Na Ho
Dala Na Be-Kisi Ne Kisi Se Muamalat
Apne Se Kheenchta Hoon Khajat Hi Kyun Na Ho
Hai Aadmi Bajaye Khud Ek Mahshar Khayal
Hum Anjuman Samajhte Hain Khalwat Hi Kyun Na Ho
Hangama-E-Zabuni Himmat Hai Infaal
Hasil Na Kijye Dahr Se Ibrat Hi Kyun Na Ho
Waarastagi Bahana-E-Bhayangan Hai Nahi
Apne Se Kar Na Ghair Se Wahshat Hi Kyun Na Ho
Mittta Hai Fot-Fursat Hasti Ka Gham Koi
Umr Aziz Sirf Ibadat Hi Kyun Na Ho
Is Fitna Kho Ke Dar Se Ab Uthte Nahin Asad
Is Mein Hamare Sar Pe Qiyamat Hi Kyun Na Ho
Waarasta Us Se Hain Ke Mohabbat Hi Kyun Na Ho
Mirza Ghalib Poetry in Urdu
وارستہ اس سے ہیں کہ محبت ہی کیوں نہ ہو
کیجے ہمارے ساتھ عداوت ہی کیوں نہ ہو
چھوڑا نہ مجھ میں ضعف نے رنگ اختلاط کا
ہے دل پہ بار نقش محبت ہی کیوں نہ ہو
ہے مجھ کو تجھ سے تذکرۂ غیر کا گلہ
ہر چند بر سبیل شکایت ہی کیوں نہ ہو
پیدا ہوئی ہے کہتے ہیں ہر درد کی دوا
یوں ہو تو چارۂ غم الفت ہی کیوں نہ ہو
ڈالا نہ بے کسی نے کسی سے معاملہ
اپنے سے کھینچتا ہوں خجالت ہی کیوں نہ ہو
ہے آدمی بجائے خود اک محشر خیال
ہم انجمن سمجھتے ہیں خلوت ہی کیوں نہ ہو
ہنگامۂ زبونی ہمت ہے انفعال
حاصل نہ کیجے دہر سے عبرت ہی کیوں نہ ہو
وارستگی بہانۂ بیگانگی نہیں
اپنے سے کر نہ غیر سے وحشت ہی کیوں نہ ہو
مٹتا ہے فوت فرصت ہستی کا غم کوئی
عمر عزیز صرف عبادت ہی کیوں نہ ہو
اس فتنہ خو کے در سے اب اٹھتے نہیں اسدؔ
اس میں ہمارے سر پہ قیامت ہی کیوں نہ ہو
Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyun Hai – Kaifi Azmi
Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai – Poetry
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta – Urdu Poetry