Faiz Ahmad Faiz

Na Kisi Pe Zakhm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafou Ki Hai – Faiz

Na Kisi Pe Zakhm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafou Ki Hai

Faiz Ahmad Faiz Poetry in Urdu

 

Na Kisi Pe Zakhm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafou Ki Hai
Na Karam Hai Hum Pe Habeeb Ka Na Nigah Hum Pe Adou Ki Hai

نہ کسی پہ زخم عیاں کوئی نہ کسی کو فکر رفو کی ہے
نہ کرم ہے ہم پہ حبیب کا نہ نگاہ ہم پہ عدو کی ہے

Saf Zahidaan Hai To Be Yaqeen Saf Maiy Kushaan Hai To Be Talab
Na Wo Subah Ward-O-Wazu Ki Hai Na Wo Shaam Jham-O-Saboo Ki Hai

صف زاہداں ہے تو بے یقیں صف مے کشاں ہے تو بے طلب
نہ وہ صبح ورد و وضو کی ہے نہ وہ شام جام و سبو کی ہے

Na Ye Gham Naya Na Sitam Naya Ke Teri Jafa Ka Gila Karen
Ye Nazar Thi Pehle Bhi Mudtabir Ye Kasak To Dil Mein Kaboo Ki Hai

نہ یہ غم نیا نہ ستم نیا کہ تری جفا کا گلا کریں
یہ نظر تھی پہلے بھی مضطرب یہ کسک تو دل میں کبھو کی ہے

Kaf Baaghbaan Pe Bahaar Gul Ka Hai Qarz Pehle Se Baishtar
Ke Har Ek Phool Ke Parehan Mein Namoone Mere Lahu Ki Hai

کف باغباں پہ بہار گل کا ہے قرض پہلے سے بیشتر
کہ ہر ایک پھول کے پیرہن میں نمود میرے لہو کی ہے

Nahi Khauf Roz-E-Siyah Humain Ke Hai Faiz Zarf Nigah Mein
Abhi Goshta Geer Wo Ek Kiran Jo Lagun Us Aayineh Roo Ki Hai

نہیں خوف روز سیہ ہمیں کہ ہے فیضؔ ظرف نگاہ میں
ابھی گوشہ گیر وہ اک کرن جو لگن اس آئینہ رو کی ہے

Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharab Aaye – Faiz Ahmad Faiz
Bol Ki Lab Aazad Hain Tere – Faiz Ahmad Faiz Full Poetry
Gulon Mein Rang Bhare – Faiz Ahmad Faiz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *