Mohsin Naqvi

Na Samaaton Mein Tapish Ghule – Mohsin Naqvi Poetry

Na Samaaton Mein Tapish Ghule 

Mohsin Naqvi Poetry

 

Na Samaaton Mein Tapish Ghule Na Nazar Ko Waqf Azaab Kar
Jo Sunai De Use Chup Sikha Jo Dikhai De Use Khawab Kar

Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi Na Wisaal Rut Ke Karam Jata
Jo Teri Talaash Mein Gum Hue Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar

Mere Sabr Par Koi Ajr Kya Meri Doper Pe Ye Abr Kyun
Mujhe Odhne De Aziyatein Meri Adatein Na Kharaab Kar

Kahin Aablon Ke Bhanwar Bajen Kahin Dhoop Roop Badan Sajen
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mizaaj De Kabhi Chashm Tar Ko Chenab Kar

Ye Hujoom Shehr Sitamgaran Na Sunega Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna Meri Khwahishon Se Khitab Kar

 

نہ سماعتوں میں تپش گھلے نہ نظر کو وقف عذاب کر
جو سنائی دے اسے چپ سکھا جو دکھائی دے اسے خواب کر

ابھی منتشر نہ ہو اجنبی نہ وصال رت کے کرم جتا
جو تری تلاش میں گم ہوئے کبھی ان دنوں کا حساب کر

مرے صبر پر کوئی اجر کیا مری دوپہر پہ یہ ابر کیوں
مجھے اوڑھنے دے اذیتیں مری عادتیں نہ خراب کر

کہیں آبلوں کے بھنور بجیں کہیں دھوپ روپ بدن سجیں
کبھی دل کو تھل کا مزاج دے کبھی چشم تر کو چناب کر

یہ ہجوم شہر ستمگراں نہ سنے گا تیری صدا کبھی
مری حسرتوں کو سخن سنا مری خواہشوں سے خطاب کر

 

Adab Ki Had Mein Hoon Main Be-Adab Nahin Hota – Bashir Badr
Na Kisi Pe Zakhm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafou Ki Hai – Faiz
Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Qateel Shifai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *