Lyrics

Khushi Ne Mujh Ko Thukraya Hai – Begum Akhtar Lyrics

Khushi Ne Mujh Ko Thukraya Hai

Begum Akhtar Lyrics

Poet: Ali Ahmad Jalili

 

Khushi Ne Mujh Ko Thukraya Hai Dard-O-Gham Ne Paala Hai
Gulon Ne Be-Rukhi Ki Hai To Kaanton Ne Sambhaala Hai

خوشی نے مجھ کو ٹھکرایا ہے درد و غم نے پالا ہے
گلوں نے بے رخی کی ہے تو کانٹوں نے سنبھالا ہے

Mohabbat Mein Khayaal Saahil-O-Manzil Hai Nadaani
Jo In Raahon Mein Lut Jaye Wohi Taqdeer Wala Hai

محبت میں خیال ساحل و منزل ہے نادانی
جو ان راہوں میں لٹ جائے وہی تقدیر والا ہے

Jahan Bhar Ko Mata-e-Lala-O-Gul Bakhshne Walo
Hamaare Dil Ka Kaanta Bhi Kabhi Tum Ne Nikaala Hai

جہاں بھر کو متاع لالہ و گل بخشنے والو
ہمارے دل کا کانٹا بھی کبھی تم نے نکالا ہے

Kinaaro’n Se Mujhe Ae Naakhudaao Door Hi Rakhna
Wahan Le Kar Chalo Toofan Jahan Se Uthne Wala Hai

کناروں سے مجھے اے ناخداؤ دور ہی رکھنا
وہاں لے کر چلو طوفاں جہاں سے اٹھنے والا ہے

Chiragaan Kar Ke Dil Behla Rahe Ho Kya Jahan Walo
Andhera Laakh Roshan Ho Ujala Phir Ujala Hai

چراغاں کر کے دل بہلا رہے ہو کیا جہاں والو
اندھیرا لاکھ روشن ہو اجالا پھر اجالا ہے

Nasheman Hi Ke Lut Jaane Ka Gham Hota To Gham Kya Tha
Yahan To Bechne Walo’n Ne Gulshan Bech Daala Hai

نشیمن ہی کے لٹ جانے کا غم ہوتا تو غم کیا تھا
یہاں تو بیچنے والوں نے گلشن بیچ ڈالا ہے

 

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi – Full Poetry
Woh Hum Safar Tha Magar Us Se Hum Nawai Na Thi (Lyrics)
Yeh Ajab Saat-e-Rukhsat Hai Ke Dar Lagta Hai – Abbas Tabish
Kon Aaya Ke Nigahon Mein Chamak Jaag Uthi – Sahir Ludhianvi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *