
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain
Javed Akhtar Poetry
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jaate Hain
Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kab Se
Koi Pooche To Kahein Kya Ke Kidhar Jaate Hain
Chhat Ki Kadiyon Se Utarte Hain Mere Khwab Magar
Meri Deewaron Se Takra Ke Bikhar Jaate Hain
Narm Alfaaz Bhali Baatein Mohazzab Lehje
Pehli Baarish Hi Mein Ye Rang Utar Jaate Hain
Is Dariche Mein Bhi Ab Koi Nahin Aur Hum Bhi
Sar Jhukaaye Hue Chup Chaap Guzar Jaate Hain
درد کے پھول بھی کھلتے ہیں بکھر جاتے ہیں
زخم کیسے بھی ہوں کچھ روز میں بھر جاتے ہیں
راستہ روکے کھڑی ہے یہی الجھن کب سے
کوئی پوچھے تو کہیں کیا کہ کدھر جاتے ہیں
چھت کی کڑیوں سے اترتے ہیں مرے خواب مگر
میری دیواروں سے ٹکرا کے بکھر جاتے ہیں
نرم الفاظ بھلی باتیں مہذب لہجے
پہلی بارش ہی میں یہ رنگ اتر جاتے ہیں
اس دریچے میں بھی اب کوئی نہیں اور ہم بھی
سر جھکائے ہوئے چپ چاپ گزر جاتے ہیں
Jab Bahaar Aayi To Sehra Ki Taraf Chal Nikla (Full Ghazal)
Woh Hum Safar Tha Magar Us Se Hum Nawai Na Thi (Lyrics)
Na Samaaton Mein Tapish Ghule – Mohsin Naqvi Poetry