
Ojhal Sahi Nigah Se Dooba Nahin Hoon Main
Amjad Islam Amjad
Ojhal Sahi Nigah Se Dooba Nahin Hoon Main
Ae Raat Hoshiyaar Ke Haara Nahin Hoon Main
Darpesh Subah-O-Shaam Yahi Kashmakash Hai Ab
Us Ka Banu Main Kaise Ke Apna Nahin Hoon Main
Mujh Ko Farishta Hone Ka Daawa Nahin Magar
Jitna Bura Samajhte Ho Utna Nahin Hoon Main
Is Tarah Pher Pher Ke Baatein Na Keejiye
Lehjay Ka Rukh Samajhta Hoon Bachha Nahin Hoon Main
Mumkin Nahin Hai Mujh Se Ye Tarz-E-Munafiqat
Duniya Tere Mizaaj Ka Banda Nahin Hoon Main
Amjad Thi Bheed Aisi Ke Chalte Chale Gaye
Girne Ka Aisa Khauf Tha Thehra Nahin Hoon Main
اوجھل سہی نِگاہ سے ڈوبا نہیں ہوں میں
اے رات ہوشیار کہ ہارا نہیں ہوں میں
دَرپیش صبح و شام یہی کَشمکش ہے اب
اُس کا بَنوں میں کیسے کہ اپنا نہیں ہوں میں
مجھ کو فرشتہ ہونے کا دعویٰ نہیں مگر
جِتنا بُرا سمجھتے ہو اُتنا نہیں ہوں میں
اِس طرح پھیر پھیر کہ باتیں نہ کیجیئے
لہجے کا رُخ سمجھتا ہوں بچہ نہیں ہوں میں
مُمکن نہیں ہے مجھ سے یہ طرزِ مُنافقت
دُنیا تیرے مزاج کا بَندہ نہیں ہوں میں
امجدؔ تھی بھیڑ ایسی کہ چلتے چلے گئے
گِرنے کا ایسا خوف تھا ٹِھہرا نہیں ہوں میں
Kehne Ko Mera Us Se Koi Wasta Nahi
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta