
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi – Lyrics
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi
Bujh Gaya Dil Chiraagh Jalte Hi
Khul Gaye Sheher-e-Gham Ke Darwaze
Ek Zara Si Hawa Ke Chalte Hi
Kaun Tha Tu Ke Phir Na Dekha Tujhe
Mit Gaya Khwab Aankh Milte Hi
Khauf Aata Hai Apne Hi Ghar Se
Maah-e-Shab Taab Ke Niklte Hi
Tu Bhi Jaise Badal Sa Jaata Hai
Aks Deewaar Ke Badalte Hi
Khoon Sa Lag Gaya Hai Haathon Mein
Chadh Gaya Zehr Gul Masalte Hi
آ گئی یاد شام ڈھلتے ہی
بجھ گیا دل چراغ جلتے ہی
کھل گئے شہر غم کے دروازے
اک ذرا سی ہوا کے چلتے ہی
کون تھا تو کہ پھر نہ دیکھا تجھے
مٹ گیا خواب آنکھ ملتے ہی
خوف آتا ہے اپنے ہی گھر سے
ماہ شب تاب کے نکلتے ہی
تو بھی جیسے بدل سا جاتا ہے
عکس دیوار کے بدلتے ہی
خون سا لگ گیا ہے ہاتھوں میں
چڑھ گیا زہر گل مسلتے ہی
Hum Se Badal Gaya Woh Nigahein To Kya Hua – Lyrics
Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha
Mohabbatoun Mein Har Ek Lamha Wisaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha
Haseen Khwab Na De, Ab Yaqeen Saada De – Ghazal




