Mirza Ghalib

Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai – Mirza Ghalib Poetry

Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai

Mirza Ghalib Poetry

Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai
Taaqat-E-Bedaad-E-Intazaar Nahin Hai

Dete Hain Jannat Hayaat-E-Dahar Ke Badle
Nashshaa Baandaaza-E-Khumaar Nahin Hai

Giriya Nikaale Hai Teri Bazm Se Mujh Ko
Haaye! Ki Rone Pe Ikhtiyaar Nahin Hai

Ham Se Abas Hai Gumaan-E-Ranjish-E-Khaatir
Khaak Main Ushshaq Ki Gubaar Nahin Hai

Dil Se Uthaa Lutf-E-Jalwa Haaye Maani
Gair-E-Gul Aaina-E-Bahaar Nahin Hai

Qatl Ka Mere Kiya Hai Ahad To Baare
Vaaye! Agar Ahad Ustavaar Nahin Hai

Tu Ne Qasam Maikashi Ki Khaai Hai ‘Ghalib’
Teri Qasam Ka Kuch Aitabaar Nahin Hai

آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے

آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے
طاقت بیداد انتظار نہیں ہے

دیتے ہیں جنت حیات دہر کے بدلے
نشہ بہ اندازۂ خمار نہیں ہے

گریہ نکالے ہے تیری بزم سے مجھ کو
ہائے کہ رونے پہ اختیار نہیں ہے

ہم سے عبث ہے گمان رنجش خاطر
خاک میں عشاق کی غبار نہیں ہے

دل سے اٹھا لطف جلوہ ہائے معانی
غیر گل آئینۂ بہار نہیں ہے

قتل کا میرے کیا ہے عہد تو بارے
وائے اگر عہد استوار نہیں ہے

تو نے قسم مے کشی کی کھائی ہے غالبؔ
تیری قسم کا کچھ اعتبار نہیں ہے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *