
Aagaah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi
آگاہ اپنی موت سے کوئی بشر نہیں
سامان سو برس کا ہے پل کی خبر نہیں
آ جائیں رعب غیر میں ہم وہ بشر نہیں
کچھ آپ کی طرح ہمیں لوگوں کا ڈر نہیں
اک تو شب فراق کے صدمے ہیں جاں گداز
اندھیر اس پہ یہ ہے کہ ہوتی سحر نہیں
کیا کہئے اس طرح کے تلون مزاج کو
وعدے کا ہے یہ حال ادھر ہاں ادھر نہیں
رکھتے قدم جو وادئ الفت میں بے دھڑک
حیرتؔ سوا تمہارے کسی کا جگر نہیں
حیرت الہ آبادی
Aagaah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi
Saamaan Sau Baras Ka Hai, Pal Ki Khabar Nahi
Aa Jaayein Ra’ub-e-Ghair Mein Hum Woh Bashar Nahi
Kuch Aap Ki Tarah Humein Logon Ka Dar Nahi
Ek To Shab-e-Firaaq Ke Sadme Hain Jaan Gudaaz
Andher Uss Pe Yeh Hai Ke Hoti Sahar Nahi
Kya Kahiye Iss Tarah Ke Talawun Mizaaj Ko
Waaday Ka Hai Yeh Haal Idhar Haan Udhar Nahi
Rakhte Qadam Jo Waadi-e-Ulfat Mein Be-Dharak
Hairat Sawa Tumhaare Kisi Ka Jigar Nahi



