
Aankh Se Dil Mein Aane Wala – Arzoo Lakhnavi
آنکھ سے دل میں آنے والا
دل سے نہیں اب جانے والا
گھر کو پھونک کے جانے والا
پھر کے نہیں ہے آنے والا
دوست تو ہے نادان ہے لیکن
بے سمجھے سمجھانے والا
آنسو پونچھ کے ہنس دیتا ہے
آگ میں آگ لگانے والا
ہے جو کوئی تو دھیان اسی کا
آنے والا جانے والا
حسن کی بستی میں ہے یارو
کوئی ترس بھی کھانے والا
ڈال رہا ہے کام میں مشکل
مشکل میں کام آنے والا
دی تھی تسلی یہ کس دل سے
چپ نہ ہوا چلانے والا
خواب کے پردے میں آتا ہے
سوتا پا کے جگانے والا
اک دن پردہ خود الٹے گا
چھپ چھپ کے ترسانے والا
آرزوؔ ان کے آگے ہے چپ کیوں
تم سا باتیں بنانے والا
Aankh Se Dil Mein Aane Wala
Dil Se Nahi Ab Jane Wala
Ghar Ko Phonk Ke Jane Wala
Phir Ke Nahi Hai Aane Wala
Dost To Hai Nadaan Hai Lekin
Be Samjhe Samjhane Wala
Aansu Poonchh Ke Hans Deta Hai
Aag Mein Aag Laganewala
Hai Jo Koi To Dhyan Ussi Ka
Aane Wala Jane Wala
Husn Ki Basti Mein Hai Yaro
Koi Taras Bhi Khanewala
Daal Raha Hai Kaam Mein Mushkil
Mushkil Mein Kaam Aanewala
Di Thi Tasalli Ye Kis Dil Se
Chup Na Hua Chilane Wala
Khwab Ke Parde Mein Aata Hai
Sota Pa Ke Jagane Wala
Ek Din Parda Khud Ultay Ga
Chhup Chhup Ke Tarsane Wala
Arzoo Un Ke Aage Hai Chup Kyun
Tum Sa Batein Banane Wala
Ghazal – Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha | Iqbal Aeem
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay – Munir Niazi
Hasti Apni Habaab Ki Si Hai – Mir Taqi Mir



