
Aate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya
Jagjit Singh Ghazal Lyrics
Aate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya
Us Ke Honton Pe Kuch Kanpta Reh Gaya
Raat Mujrim Thi Daaman Bacha Le Gayi
Din Gawahon Ki Saf Mein Khara Reh Gaya
Woh Mere Saamne Hi Gaya Aur Main
Raaste Ki Tarah Dekhta Reh Gaya
Jhoot Waale Kahein Se Kahein Barh Gaye
Aur Main Tha Ke Sach Bolta Reh Gaya
Aandhiyon Ke Iraade To Achhe Na The
Yeh Diya Kaise Jalta Hua Reh Gaya
Us Ko Kandhon Pe Le Ja Rahe Hain Waseem
Aur Woh Jeene Ka Haq Maangta Reh Gaya
آتے آتے مرا نام سا رہ گیا
اس کے ہونٹوں پہ کچھ کانپتا رہ گیا
رات مجرم تھی دامن بچا لے گئی
دن گواہوں کی صف میں کھڑا رہ گیا
وہ مرے سامنے ہی گیا اور میں
راستے کی طرح دیکھتا رہ گیا
جھوٹ والے کہیں سے کہیں بڑھ گئے
اور میں تھا کہ سچ بولتا رہ گیا
آندھیوں کے ارادے تو اچھے نہ تھے
یہ دیا کیسے جلتا ہوا رہ گیا
اس کو کاندھوں پہ لے جا رہے ہیں وسیمؔ
اور وہ جینے کا حق مانگتا رہ گیا
— وسیم بریلوی
Read More Lyrics
Abhi Na Jao Chhod Kar
Un Ko Bhi Hum Se Mohabbat Ho Zaroori To Nahi
Abhi Na Jao Chhod Kar Ke Dil Abhi Bhara Nahin




