Ghazal

Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi – Urdu Ghazal

اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیں - قابل اجمیری

Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi
Ashk Beh Jaate Hain Lekin Aankh Tar Hoti Nahi

Phir Koi Kam Bakht Kashti Nazar Tofan Ho Gayi
Warna Saahil Par Udaasi Is Qadar Hoti Nahi

Tera Andaaz E Tighaful Hai Junoon Mein Aaj Kal
Chaak Kar Leta Hoon Daaman Aur Khabar Hoti Nahi

Haaye Kis Aalam Mein Chhoda Hai Tumhare Gham Ne Saath
Jab Qaza Bhi Zindagi Ki Chara Gar Hoti Nahi

Rang Mehfil Chahta Hai Ek Mukammal Inquilab
Chand Shamaon Ke Bharkne Se Sehr Hoti Nahi

Iztirab Dil Se Qabil Woh Nigaah Be Niaz
Be Khabar Maloom Hoti Hai Magar Hoti Nahi

اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیں
اشک بہہ جاتے ہیں لیکن آنکھ تر ہوتی نہیں

پھر کوئی کم بخت کشتی نذر طوفاں ہو گئی
ورنہ ساحل پر اداسی اس قدر ہوتی نہیں

تیرا انداز تغافل ہے جنوں میں آج کل
چاک کر لیتا ہوں دامن اور خبر ہوتی نہیں

ہائے کس عالم میں چھوڑا ہے تمہارے غم نے ساتھ
جب قضا بھی زندگی کی چارہ گر ہوتی نہیں

رنگ محفل چاہتا ہے اک مکمل انقلاب
چند شمعوں کے بھڑکنے سے سحر ہوتی نہیں

اضطراب دل سے قابلؔ وہ نگاہ بے نیاز
بے خبر معلوم ہوتی ہے مگر ہوتی نہیں

 

Aag Lehraa Ke Chal Rahe Ho Ise Aanchal Kar Do – Bashir Badr
Jab Raat Gaye Teri Yaad Aayi – Nasir Kazmi Ghazal
Badbaan Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna – Parveen Shakir

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *