PoetsRahat Indori

Agar Khilaf Hain, Hone Do, Jaan Thori Hai – Rahat Indori

Agar Khilaf Hain, Hone Do, Jaan Thori Hai

Rahat Indori Shayari 

 

Agar Khilaf Hain, Hone Do, Jaan Thori Hai
Yeh Sab Dhuwan Hai, Koi Aasman Thori Hai

Lagegi Aag To Aayenge Ghar Kai Zad Mein
Yahan Pe Sirf Hamara Makaan Thori Hai

Main Jaanta Hoon Ke Dushman Bhi Kam Nahin Lekin
Hamari Tarah Hathheli Pe Jaan Thori Hai

Hamare Munh Se Jo Nikle Wohi Sadaqat Hai
Hamare Munh Mein Tumhari Zabaan Thori Hai

Jo Aaj Sahib-e-Masnad Hain, Kal Nahin Honge
Kirayedaar Hain, Zaati Makaan Thori Hai

Sabhi Ka Khoon Hai Shaamil Yahan Ki Mitti Mein
Kisi Ke Baap Ka Hindustan Thori Hai

Agar Khilaf Hain, Hone Do – Shayri in Urdu

اگر خلاف ہیں، ہونے دو، جان تھوڑی ہے
یہ سب دھواں ہے، کوئی آسمان تھوڑی ہے

لگے گی آگ تو آئیں گے گھر کئی زد میں
یہاں پہ صرف ہمارا مکان تھوڑی ہے

میں جانتا ہوں کہ دشمن بھی کم نہیں لیکن
ہماری طرح ہتھیلی پہ جان تھوڑی ہے

ہمارے منہ سے جو نکلے وہی صداقت ہے
ہمارے منہ میں تمہاری زبان تھوڑی ہے

جو آج صاحبِ مسند ہیں، کل نہیں ہوں گے
کرائے دار ہیں، ذاتی مکان تھوڑی ہے

سبھی کا خون ہے شامل یہاں کی مٹی میں
کسی کے باپ کا ہندوستان تھوڑی ہے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *