
Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakha Hai
Ahmad Faraz
Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakha Hai
Magar Charagh Ne Lo Ko Sambhal Rakha Hai
Mohabbaton Mein To Milna Hai Ya Ujar Jana
Mizaj Ishq Mein Kab Itedaal Rakha Hai
Hawa Mein Nasha Hi Nasha Fiza Mein Rang Hi Rang
Yeh Kis Ne Pairahan Apna Uchhaal Rakha Hai
Bhale Dinon Ka Bharosa Hi Kya Rahein Na Rahein
So Main Ne Rishta Gham Ko Bahal Rakha Hai
Hum Aise Saada Dilon Ko Woh Dost Ho Ke Khuda
Sabhi Ne Wada Farda Pe Taal Rakha Hai
Hisaab Lutf Hareefan Kya Hai Jab To Khula
Ke Doston Ne Zyada Khayal Rakha Hai
Bhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab
Ke Jaise To Ne Hathaili Pe Gaal Rakha Hai
Faraz Ishq Ki Duniya To Khubsurat Thi
Yeh Kis Ne Fitna Hijr O Wisaal Rakha Hai
اگرچہ زور ہواؤں نے ڈال رکھا ہے
مگر چراغ نے لو کو سنبھال رکھا ہے
محبتوں میں تو ملنا ہے یا اجڑ جانا
مزاج عشق میں کب اعتدال رکھا ہے
ہوا میں نشہ ہی نشہ فضا میں رنگ ہی رنگ
یہ کس نے پیرہن اپنا اچھال رکھا ہے
بھلے دنوں کا بھروسا ہی کیا رہیں نہ رہیں
سو میں نے رشتۂ غم کو بحال رکھا ہے
ہم ایسے سادہ دلوں کو وہ دوست ہو کہ خدا
سبھی نے وعدۂ فردا پہ ٹال رکھا ہے
حساب لطف حریفاں کیا ہے جب تو کھلا
کہ دوستوں نے زیادہ خیال رکھا ہے
بھری بہار میں اک شاخ پر کھلا ہے گلاب
کہ جیسے تو نے ہتھیلی پہ گال رکھا ہے
فرازؔ عشق کی دنیا تو خوبصورت تھی
یہ کس نے فتنۂ ہجر و وصال رکھا ہے
Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai – Saghar Siddiqui
Dekh Letay Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai – Urdu Ghazal
Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yaraane Gaye – Khatir Ghaznavi




