Ahmad Faraz

Aisa Hai Keh Sab Khwab Musalsal Nahin Hote – Ahmad Faraz

ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے

Aisa Hai Keh Sab Khwab Musalsal Nahin Hote

Ahmad Faraz Poetry

 

Aisa Hai Keh Sab Khwab Musalsal Nahin Hote
Jo Aaj To Hote Hain Magar Kal Nahin Hote

Andar Ki Fazaon K Karishme Bhi Ajab Hain
Menah Toot K Barse Bhi To Badal Nahin Hote

Kuch Mushkilen Aisi Hain K Aasan Nahin Hotin
Kuch Aise Muamme Hain Kabhi Hal Nahin Hote

Shaistagi-e-Gham K Sabab Aankhon K Sehra
Namnak To Ho Jaate Hain Jal Thal Nahin Hote

Kaisy Hi Talatum Hon Magar Qulzum-e-Jaan Mein
Kuch Yaad Jazire Hain K Ojhal Nahin Hote

Ushaaq K Manind Kai Ahl-e-Havas Bhi
Pagal To Nazar Aate Hain Pagal Nahin Hote

Sab Khwahishen Pori Hon Faraz Aisa Nahin Hai
Jaise Kai Ashaar Mukammal Nahin Hote

ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے
جو آج تو ہوتے ہیں مگر کل نہیں ہوتے

اندر کی فضاؤں کے کرشمے بھی عجب ہیں
مینہ ٹوٹ کے برسے بھی تو بادل نہیں ہوتے

کچھ مشکلیں ایسی ہیں کہ آساں نہیں ہوتیں
کچھ ایسے معمے ہیں کبھی حل نہیں ہوتے

شائستگیٔ غم کے سبب آنکھوں کے صحرا
نمناک تو ہو جاتے ہیں جل تھل نہیں ہوتے

کیسے ہی تلاطم ہوں مگر قلزم جاں میں
کچھ یاد جزیرے ہیں کہ اوجھل نہیں ہوتے

عشاق کے مانند کئی اہل ہوس بھی
پاگل تو نظر آتے ہیں پاگل نہیں ہوتے

سب خواہشیں پوری ہوں فرازؔ ایسا نہیں ہے
جیسے کئی اشعار مکمل نہیں ہوتے

 

Read More:

Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry – Bashir Badr Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *