Sad Poetry

Aisa Nahin Duaon Mein Manga Nahin Tujhe – Shayari

Poet: مشکور ممنون قنوجی

 

Aisa Nahin Duaon Mein Manga Nahin Tujhe
Qismat Mein Hi Nahin Tha Jo Paya Nahin Tujhe

Dil To Aqeedaton Ki Haddon Se Guzar Gaya
Woh To Khuda Ka Khauf Tha Pooja Nahin Tujhe

Sab Muntazir The Meri Nigahen Kidhar Uthin
Maine Bhi Ihtiyaat Mein Dekha Nahin Tujhe

Shayad Palat Ke Dekh Le Tu Hi Meri Taraf
Maine Usi Umeed Pe Roka Nahin Tujhe

Tere Khayal Saath The Mere Qadam Qadam
Main To Kisi Qadam Pe Bhi Bhoola Nahin Tujhe

Andesha-e-Judai Ke Dar Mein Jiya Hoon Main
Ye Mat Samajh Ke Toot Ke Chaha Nahin Tujhe

Woh Pal Haraam Ho Gaya Mashkoor Ke Liye
Jis Pal Tasavvurat Mein Paya Nahin Tujhe

ایسا نہیں دعاؤں میں مانگا نہیں تجھے
قسمت میں ہی نہیں تھا جو پایا نہیں تجھے

دل تو عقیدتوں کی حدوں سے گزر گیا
وہ تو خدا کا خوف تھا پوجا نہیں تجھے

سب منتظر تھے میری نگاہیں کدھر اٹھیں
میں نے بھی احتیاط میں دیکھا نہیں تجھے

شاید پلٹ کے دیکھ لے تو ہی میری طرف
میں نے اسی امید پہ روکا نہیں تجھے

تیرے خیال ساتھ تھے میرے قدم قدم
میں تو کسی قدم پہ بھی بھولا نہیں تجھے

اندیشۂ جدائی کے ڈر میں جیا ہوں میں
یہ مت سمجھ کے ٹوٹ کے چاہا نہیں تجھے

وہ پل حرام ہو گیا مشکورؔ کے لئے
جس پل تصورات میں پایا نہیں تجھے

 

Us Ko Bhi Hum Se Mohabbat Ho Zaroori To Nahin
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre (Full Lyrics)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *