
Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahe Hain
Jaun Elia Poetry
Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahe Hain
Aur Hum Hain Ke Naam Kar Rahe Hain
Tegh Baazi Ka Shoq Apni Jagah
Aap To Qatl-e-Aam Kar Rahe Hain
Daad-o-Tahseen Ka Yeh Shor Hai Kyun
Hum To Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain
Hum Hain Masroof Intizaam Magar
Jaane Kya Intizaam Kar Rahe Hain
Hai Woh Bechargi Ka Haal Ke Hum
Har Kisi Ko Salaam Kar Rahe Hain
Hum To Aaye The Arz-e-Matlab Ko
Aur Woh Ehteraam Kar Rahe Hain
Hum Ajab Hain Ke Us Ke Kooche Mein
Be Sabab Dhoom Dhaam Kar Rahe Hain
Us Ke Honton Pe Rakh Ke Hont Apne
Baat Hi Hum Tamaam Kar Rahe Hain
اپنے سب یار کام کر رہے ہیں
اور ہم ہیں کہ نام کر رہے ہیں
تیغ بازی کا شوق اپنی جگہ
آپ تو قتل عام کر رہے ہیں
داد و تحسین کا یہ شور ہے کیوں
ہم تو خود سے کلام کر رہے ہیں
ہم ہیں مصروف انتظام مگر
جانے کیا انتظام کر رہے ہیں
ہے وہ بے چارگی کا حال کہ ہم
ہر کسی کو سلام کر رہے ہیں
ایک قتالہ چاہیے ہم کو
ہم یہ اعلان عام کر رہے ہیں
کیا بھلا ساغر سفال کہ ہم
ناف پیالے کو جام کر رہے ہیں
ہم تو آئے تھے عرض مطلب کو
اور وہ احترام کر رہے ہیں
نہ اٹھے آہ کا دھواں بھی کہ وہ
کوئے دل میں خرام کر رہے ہیں
اس کے ہونٹوں پہ رکھ کے ہونٹ اپنے
بات ہی ہم تمام کر رہے ہیں
ہم عجب ہیں کہ اس کے کوچے میں
بے سبب دھوم دھام کر رہے ہیں
Bheer Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga – Amjad Islam Amjad
Ghazal – Charagh-e-Raah Bujha Kya, Ke Rehnuma Bhi Gaya
Ghazal – Jab Bahaar Aayi To Sehra Ki Taraf Chal Nikla



