
Aur Phir Chhor Gaya Woh Jo Kaha Karta Tha
ڈاکٹر ساجد رحیم
Aur Phir Chhor Gaya Woh Jo Kaha Karta Tha
Kaun Badbakht Tujhe Chhor Ke Ja Sakta Hai
Raasta Bhoolna Aadat Hai Purani Us Ki
Yaani Ek Roz Woh Ghar Bhool Ke Aa Sakta Hai
Shart Itni Hai Ke Tu Us Mein Faqat Mera Ho
Phir Tu Ek Khwab Kai Baar Dikha Sakta Hai
Aankh Banti Hai Kisi Khwab Ka Taana Baana
Khwab Bhi Woh Jo Meri Neend Uda Sakta Hai
Us Ne Kya Soch Ke Sounpa Hai Kahani Mein Mujhe
Aisa Kirdaar Jo Parda Bhi Gira Sakta Hai
Mere Razzaq Se Karti Hai Meri Bhook Sawaal
Kya Yaheen Rizq Ke Waaday Ko Nibha Sakta Hai
Tum Na Maano Ge Magar Mere Chalay Jaane Par
Ek Na Ek Roz Tumhein Sabr Bhi Aa Sakta Hai
اور پھر چھوڑ گیا وہ جو کہا کرتا تھا
کون بدبخت تجھے چھوڑ کے جا سکتا ہے
راستہ بھولنا عادت ہے پرانی اس کی
یعنی اک روز وہ گھر بھول کے آ سکتا ہے
شرط اتنی ہے کہ تو اس میں فقط میرا ہو
پھر تو اک خواب کئی بار دکھا سکتا ہے
آنکھ بنتی ہے کسی خواب کا تانا بانا
خواب بھی وہ جو مری نیند اڑا سکتا ہے
اس نے کیا سوچ کے سونپا ہے کہانی میں مجھے
ایسا کردار جو پرده بھی گرا سکتا ہے
میرے رزاق سے کرتی ہے مری بھوک سوال
کیا یہیں رزق کے وعدے کو نبھا سکتا ہے
تم نہ مانو گے مگر میرے چلے جانے پر
اک نہ اک روز تمہیں صبر بھی آ سکتا ہے