Parveen Shakir

Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai – Parveen Shakir

Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai
Parveen Shakir

Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai
Tehniyat Ae Dil Ke Ab Deewaar Dar Hone Ko Hai

Khol Dein Zanjeer-E-Dar Aur Hauz Ko Khaali Karein
Zindagi Ke Baagh Mein Ab Se Peher Hone Ko Hai

Maut Ki Aahat Sunai De Rahi Hai Dil Mein Kyun
Kya Mohabbat Se Bohat Khaali Ye Ghar Hone Ko Hai

Gird-E-Rah Ban Kar Koi Haasil-E-Safar Ka Ho Gaya
Khaak Mein Mil Kar Koi Laal O Gohar Hone Ko Hai

Ek Chamak Si To Nazar Aayi Hai Apni Khaak Mein
Mujh Pe Bhi Shaayad Tawajju Ki Nazar Hone Ko Hai

Gumshuda Basti Musafir Laut Kar Aate Nahin
Mojza Aisa Magar Baar Digar Hone Ko Hai

Ronaq-E-Bazaar O Mehfil Kam Nahin Hai Aaj Bhi
Saanihah Is Sheher Mein Koi Magar Hone Ko Hai

Ghar Ka Saara Raasta Is Sar Khushi Mein Kat Gaya
Is Se Agle Mod Koi Hum Safar Hone Ko Hai

 

باب حیرت سے مجھے اذن سفر ہونے کو ہے
تہنیت اے دل کہ اب دیوار در ہونے کو ہے

کھول دیں زنجیر در اور حوض کو خالی کریں
زندگی کے باغ میں اب سہ پہر ہونے کو ہے

موت کی آہٹ سنائی دے رہی ہے دل میں کیوں
کیا محبت سے بہت خالی یہ گھر ہونے کو ہے

گرد رہ بن کر کوئی حاصل سفر کا ہو گیا
خاک میں مل کر کوئی لعل و گہر ہونے کو ہے

اک چمک سی تو نظر آئی ہے اپنی خاک میں
مجھ پہ بھی شاید توجہ کی نظر ہونے کو ہے

گمشدہ بستی مسافر لوٹ کر آتے نہیں
معجزہ ایسا مگر بار دگر ہونے کو ہے

رونق بازار و محفل کم نہیں ہے آج بھی
سانحہ اس شہر میں کوئی مگر ہونے کو ہے

گھر کا سارا راستہ اس سر خوشی میں کٹ گیا
اس سے اگلے موڑ کوئی ہم سفر ہونے کو ہے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *