
Bargashta-e-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Saghar Siddiqui
برگشتۂ یزداں سے کچھ بھول ہوئی ہے
بھٹکے ہوئے انساں سے کچھ بھول ہوئی ہے
تا حّد نظر شعلے ہی شعلے ہیں چمن میں
پھولوں کے نگہباں سے کچھ بھول ہوئی ہے
جس عہد میں لٹ جائے فقیروں کی کمائی
اس عہد کے سلطاں سے کچھ بھول ہوئی ہے
ہنستے ہیں مری صورت مفتوں پہ شگوفے
میرے دل ناداں سے کچھ بھول ہوئی ہے
حوروں کی طلب اور مئے و ساغر سے ہے نفرت
زاہد ، ترے عرفاں سے کچھ بھول ہوئی ہے
Bargashta-e-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Bhatke Hue Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Ta Hadd-e-Nazar Shaulon Hi Shaulon Hain Chaman Mein
Phoolon Ke Nigehbaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Jis Ahd Mein Lut Jaaye Faqeeron Ki Kamai
Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai
Hanste Hain Meri Soorat Maftoon Pe Shagoofe
Mere Dil-e-Nadaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Huron Ki Talab Aur Mai-o-Saagar Se Hai Nafrat
Zaahid Tere Irfaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakha Hai – Ahmad Faraz
Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish
Mohabbatoun Mein Har Ek Lamha Wisaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha



