Adeem Hashmi

Bas Koi Aisi Kami Saare Safar Mein Reh Gayi – Adeem Hashmi

بس کوئی ایسی کمی سارے سفر میں رہ گئی - عدیم ہاشمی

Bas Koi Aisi Kami Saare Safar Mein Reh Gayi
(Adeem Hashmi)

Bas Koi Aisi Kami Saare Safar Mein Reh Gayi,
Jaise Koi Cheez Chalte Waqt Ghar Mein Reh Gayi.

Kaun Yeh Chalta Hai Mere Saath Be Jism O Sada,
Chaap Yeh Kis Ki Meri Har Rahguzar Mein Reh Gayi.

Goonjtay Rehte Hain Tanhai Mein Bhi Deewar O Dar,
Kya Sada Us Ne Mujhe Di Thi Ke Ghar Mein Reh Gayi.

Aur To Mausam Guzar Kar Ja Chuka Waadi Ke Paar,
Bas Zara Si Barf Har Sookhe Shajar Mein Reh Gayi.

Raat Darya Mein Phir Ek Shaula Sa Chakrata Raha,
Phir Koi Jalti Hui Kashti Bhanwar Mein Reh Gayi.

Raat Bhar Hota Raha Hai Kin Khazanon Ka Nuzool,
Mautiyon Ki Si Jhalak Har Barg-e-Tar Mein Reh Gayi.

Laut Kar Aaye Na Kyun Jaate Hue Lamhe Adeem,
Kya Kami Meri Sada-e-Be Asar Mein Reh Gayi.

بس کوئی ایسی کمی سارے سفر میں رہ گئی
جیسے کوئی چیز چلتے وقت گھر میں رہ گئی

کون یہ چلتا ہے میرے ساتھ بے جسم و صدا
چاپ یہ کس کی مری ہر رہ گزر میں رہ گئی

گونجتے رہتے ہیں تنہائی میں بھی دیوار و در
کیا صدا اس نے مجھے دی تھی کہ گھر میں رہ گئی

اور تو موسم گزر کر جا چکا وادی کے پار
بس ذرا سی برف ہر سوکھے شجر میں رہ گئی

رات دریا میں پھر اک شعلہ سا چکراتا رہا
پھر کوئی جلتی ہوئی کشتی بھنور میں رہ گئی

رات بھر ہوتا رہا ہے کن خزانوں کا نزول
موتیوں کی سی جھلک ہر برگ تر میں رہ گئی

لوٹ کر آئے نہ کیوں جاتے ہوئے لمحے عدیمؔ
کیا کمی میری صدائے بے اثر میں رہ گئی

 

Itna Qareeb Aao Ke Jee Bhar Ke Dekh Lein – Faiz
Kisi Ke Dukh Ko Zarurat Thi Pardah Poshi Ki – Sajid Raheem
Hum Hain Rahi Pyar Ke – Lyrics

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *