Parveen Shakir

Bichhda Hai Jo Ek Baar To Milte Nahi Dekha – Parveen Shakir

بچھڑا ہے جو اک بار تو ملتے نہیں دیکھا - پروین شاکر

Bichhda Hai Jo Ek Baar To Milte Nahi Dekha
Parveen Shakir

Bichhda Hai Jo Ek Baar To Milte Nahi Dekha
Us Zakhm Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha

Ek Baar Jise Chaat Gayi Dhoop Ki Khwahish
Phir Shaakh Pe Us Phool Ko Khilte Nahi Dekha

Yak Lakht Gira Hai To Jarein Tak Nikal Aayin
Jis Ped Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha

Kaanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aayegi Lekin
Titli Ke Paron Ko Kabhi Chhilte Nahi Dekha

Kis Tarah Meri Rooh Hari Kar Gaya Aakhir
Woh Zehr Jise Jism Mein Khilte Nahi Dekha

بچھڑا ہے جو اک بار تو ملتے نہیں دیکھا
اس زخم کو ہم نے کبھی سلتے نہیں دیکھا

اک بار جسے چاٹ گئی دھوپ کی خواہش
پھر شاخ پہ اس پھول کو کھلتے نہیں دیکھا

یک لخت گرا ہے تو جڑیں تک نکل آئیں
جس پیڑ کو آندھی میں بھی ہلتے نہیں دیکھا

کانٹوں میں گھرے پھول کو چوم آئے گی لیکن
تتلی کے پروں کو کبھی چھلتے نہیں دیکھا

کس طرح مری روح ہری کر گیا آخر
وہ زہر جسے جسم میں کھلتے نہیں دیکھا

 

Bheer Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga – Amjad Islam Amjad
Woh Bewafa Hai To Kya Mat Kaho Bura Usko – Naseer Turabi
Woh Log Mere Bohat Pyaar Karne Waale Thay – Urdu Ghazal

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *