Faiz Ahmad Faiz

Bol Ki Lab Aazad Hain Tere – Faiz Ahmad Faiz Full Poetry

Bol Ki Lab Aazad Hain Tere

Bol Ki Lab Aazad Hain Tere
Bol Zaban Ab Tak Teri Hai

Tera Sutwan Jism Hai Tera
Bol Ki Jaan Ab Tak Teri Hai

Dekh Ki Aahan-Gar Ki Dukan Mein
Tund Hain Shoale Surkh Hai Aahan

Khulne Lage Quflon Ke Dahane
Phaila Har Ek Zanjir Ka Daman

Bol Ye Thoda Waqt Bahut Hai
Jism O Zaban Ki Maut Se Pahle

Bol Ki Sach Zinda Hai Ab Tak
Bol Jo Kuchh Kahna Hai Kah Le

بول کہ لب آزاد ہیں تیرے
بول زباں اب تک تیری ہے

تیرا ستواں جسم ہے تیرا
بول کہ جاں اب تک تیری ہے

دیکھ کہ آہن گر کی دکاں میں
تند ہیں شعلے سرخ ہے آہن

کھلنے لگے قفلوں کے دہانے
پھیلا ہر اک زنجیر کا دامن

بول یہ تھوڑا وقت بہت ہے
جسم و زباں کی موت سے پہلے

بول کہ سچ زندہ ہے اب تک
بول جو کچھ کہنا ہے کہہ لے

Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry
Bashir Badr Poetry – Mir Tqi MIr Poetry – Nasir Kazmi Poetry – Sahir Ludhianvi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *