
Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mahal Kar Diya
Parveen Shakir Poetry
Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mahal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhhaal Kar Diya
Ae Meri Gul Zameen Tujhe Chaah Thi Ek Kitaab Ki
Ahl-e-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya
Milte Huye Dilon Ke Beech Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawaal Kar Diya
Ab Ke Hawa Ke Saath Hai Daman-e-Yaar Muntazir
Banoye Shab Ke Haath Mein Rakhna Sambhaal Kar Diya
Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya
Mere Labon Pe Mehr Thi Par Mere Sheesha Ro Ne To
Sheher Ke Sheher Ko Mera Waakif-e-Haal Kar Diya
Chehra-o-Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-o-Khayaal Kar Diya
Mudaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-e-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahal Kar Diya
چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا
اے مری گل زمیں تجھے چاہ تھی اک کتاب کی
اہل کتاب نے مگر کیا ترا حال کر دیا
ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی
اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کر دیا
اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامن یار منتظر
بانوئے شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کر دیا
ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا
ہم نے تو ایک بات کی اس نے کمال کر دیا
میرے لبوں پہ مہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو
شہر کے شہر کو مرا واقف حال کر دیا
چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آ سکے
وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کر دیا
مدتوں بعد اس نے آج مجھ سے کوئی گلہ کیا
منصب دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کر دیا