
Chaman Mein Rang Bahaar Utra To Main Ne Dekha
Poet: Munir Niazi
Chaman Mein Rang Bahaar Utra To Main Ne Dekha
Nazar Se Dil Ka Ghubaar Utra To Main Ne Dekha
Main Neem Shab Aasmaan Ki Wusat Ko Dekhta Tha
Zameen Pe Woh Husn Zaar Utra To Main Ne Dekha
Gali Ke Baahar Tamaam Manzar Badal Gaye The
Jo Saaya-E-Kooye-Yaar Utra To Main Ne Dekha
Khumaar Mai Mein Woh Chehra Kuch Aur Lag Raha Tha
Dam Sehar Jab Khumaar Utra To Main Ne Dekha
Ek Aur Dariya Ka Saamna Tha Muneer Mujh Ko
Main Ek Dariya Ke Paar Utra To Main Ne Dekha
چمن میں رنگ بہار اترا تو میں نے دیکھا
نظر سے دل کا غبار اترا تو میں نے دیکھا
میں نیم شب آسماں کی وسعت کو دیکھتا تھا
زمیں پہ وہ حسن زار اترا تو میں نے دیکھا
گلی کے باہر تمام منظر بدل گئے تھے
جو سایۂ کوئے یار اترا تو میں نے دیکھا
خمار مے میں وہ چہرہ کچھ اور لگ رہا تھا
دم سحر جب خمار اترا تو میں نے دیکھا
اک اور دریا کا سامنا تھا منیرؔ مجھ کو
میں ایک دریا کے پار اترا تو میں نے دیکھا
Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai – Muzaffar Warsi
Bichhda Hai Jo Ek Baar To Milte Nahi Dekha – Parveen Shakir
Ghazal – Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai



