
Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaaqaat Rahi
Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaaqaat Rahi
Phir Na Woh Tu Na Woh Main Aur Na Woh Raat Rahi
Kurah-E-Arz Ne Dekha Hi Na Tha Woh Khursheed
Jis Ki Gardish Mein Shab O Roz Meri Zaat Rahi
Ab To Har Shakhs Ujaalon Mein Khada Hai Aryaan
Kaun Si Shakal Pas-Parda-E-Zulmaat Rahi
Sard Mehri Mere Lahjay Mein Bhi Hogi Lekin
Tujh Mein Khud Bhi To Na Pehli Si Koi Baat Rahi
Haal-E-Dil Us Ko Suna Kar Hai Bohat Khush, Kosar
Lekin Ab Soch Zara Kya Teri Oqaat Rahi
Kausar Niazi
چند لمحوں کے لیے ایک ملاقات رہی
پھر نہ وہ تو نہ وہ میں اور نہ وہ رات رہی
کرۂ ارض نے دیکھا ہی نہ تھا وہ خورشید
جس کی گردش میں شب و روز مری ذات رہی
اب تو ہر شخص اجالوں میں کھڑا ہے عریاں
کون سی شکل پس پردۂ ظلمات رہی
سرد مہری مرے لہجے میں بھی ہوگی لیکن
تجھ میں خود بھی تو نہ پہلی سی کوئی بات رہی
حال دل اس کو سنا کر ہے بہت خوش کوثرؔ
لیکن اب سوچ ذرا کیا تری اوقات رہی
Hawa Chali Thi Kuch Aisi, Bikhar Gaye Hote – Umeed Fazli
Udaasiyon Ka Yeh Mausam Badal Bhi Sakta Tha – Mohsin Naqvi
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari




