
Chara Sazon Ki Aziyat Nahin Dekhi Jati
Parveen Shakir
Chara Sazon Ki Aziyat Nahin Dekhi Jati
Tere Beemaar Ki Haalat Nahin Dekhi Jati
Dene Wale Ki Mashiyat Pe Hai Sab Kuch Mouqoof
Maangne Wale Ki Haajat Nahin Dekhi Jati
Din Behal Jata Hai Lekin Tere Dewanon Ki
Shaam Hoti Hai To Wahshat Nahin Dekhi Jati
Tamkanat Se Tujhe Rukhsat To Kiya Hai Lekin
Hum Se Un Aankhon Ki Hasrat Nahin Dekhi Jati
Kaun Utra Hai Ye Aafaq Ki Pehnai Mein
Aaina Khane Ki Hairat Nahin Dekhi Jati
چارہ سازوں کی اذیت نہیں دیکھی جاتی
تیرے بیمار کی حالت نہیں دیکھی جاتی
دینے والے کی مشیت پہ ہے سب کچھ موقوف
مانگنے والے کی حاجت نہیں دیکھی جاتی
دن بہل جاتا ہے لیکن ترے دیوانوں کی
شام ہوتی ہے تو وحشت نہیں دیکھی جاتی
تمکنت سے تجھے رخصت تو کیا ہے لیکن
ہم سے ان آنکھوں کی حسرت نہیں دیکھی جاتی
کون اترا ہے یہ آفاق کی پہنائی میں
آئنہ خانے کی حیرت نہیں دیکھی جاتی
Tere Khayal Se Lo De Uthi Hai Tanhai – Nasir Kazmi
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz
Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi – Mohsin Naqvi




