Jamal Ehsani

Charagh Samne Wale Makan Mein Bhi Na Tha

چراغ سامنے والے مکان میں بھی نہ تھا - جمال احسانی

Charagh Samne Wale Makan Mein Bhi Na Tha

جمال احسانی

 

Charagh Samne Wale Makan Mein Bhi Na Tha
Ye Sanha Mere Wahm O Guman Mein Bhi Na Tha

Jo Pehle Roz Se Do Aangnon Mein Tha Hail
Woh Fasla To Zameen Asman Mein Bhi Na Tha

Ye Gham Nahin Hai Ke Hum Dono Aik Ho Na Sake
Ye Ranj Hai Ke Koi Darmiyan Mein Bhi Na Tha

Hawa Na Jane Kahan Le Gayi Woh Teer Ke Jo
Nishane Par Bhi Na Tha Aur Kaman Mein Bhi Na Tha

Jamal Pehli Shanasai Ka Woh Ek Lamha
Use Bhi Yaad Na Tha Mere Dhyan Mein Bhi Na Tha

چراغ سامنے والے مکان میں بھی نہ تھا
یہ سانحہ مرے وہم و گمان میں بھی نہ تھا

جو پہلے روز سے دو آنگنوں میں تھا حائل
وہ فاصلہ تو زمین آسمان میں بھی نہ تھا

یہ غم نہیں ہے کہ ہم دونوں ایک ہو نہ سکے
یہ رنج ہے کہ کوئی درمیان میں بھی نہ تھا

ہوا نہ جانے کہاں لے گئی وہ تیر کہ جو
نشانے پر بھی نہ تھا اور کمان میں بھی نہ تھا

جمالؔ پہلی شناسائی کا وہ اک لمحہ
اسے بھی یاد نہ تھا میرے دھیان میں بھی نہ تھا

 

Apne Hum Raah Jo Aate Ho Idhar Se Pehle – Ibn-e-Insha
Woh Adaaye Dilbari Ho Ke Nawaaye Aashiqana – Jigar
Jala Diya Shajar Jaan Ke Sabz Bakht Na Tha – Parveen Shakir

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *