
Daam-e-Tehzeeb
Zarb-e-Kaleem – Allama Iqbal Poetry
Iqbal Ko Shak Iss Ki Sharafat Mein Nahin Hai
Har Millat-e-Mazloom Ka Yourap Hai Khareedar
اقبال کو شک اس کی شرافت میں نہیں ہے
ہر ملت مظلوم کا یورپ ہے خریدار
Ye Peer-e-Kaleesa Ki Karamat Hai Ke Uss Ne
Bijli Ke Charaghon Se Munawwar Kiye Afkar
یہ پیر کلیسا کی کرامت ہے کہ اس نے
بجلی کے چراغوں سے منور کیے افکار
Jalta Hai Magar Sham-o-Falasteen Pe Mera Dil
Tadbeer Se Khulta Nahin Ye Uqda-e-Dushwar
جلتا ہے مگر شام و فلسطیں پہ مرا دل
تدبیر سے کھلتا نہیں یہ عقدہ دشوار
Turkaan-e-‘Jafa Paisha’ Ke Panje Se Nikl Kar
Bechare Hain Tehzeeb Ke Phande Mein Giraftar!
ترکان ‘جفا پیشہ’ کے پنجے سے نکل کر
بیچارے ہیں تہذیب کے پھندے میں گرفتار
Hindi Islam – Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se Millat
Haal-o-Maqam – Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej
Kufr-o-Islam – Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor Se