Munir Niazi

Deti Nahin Ammaa Jo Zameen Aasman To Hai (Munir Niazi)

دیتی نہیں اماں جو زمیں آسماں تو ہے منیر نیازی

Deti Nahin Ammaa Jo Zameen Aasman To Hai
(Munir Niazi)

Deti Nahin Ammaa Jo Zameen, Aasman To Hai,
Kehne Ko Apne Dil Se Koi Daastaan To Hai.

Yoon To Hai Rang Zard, Magar Hont Laal Hain,
Sehra Ki Wus’aton Mein Kahin Gulistaan To Hai.

Ek Cheel Ek Mumti Pe Baithi Hai Dhoop Mein,
Galiyan Ujar Gayi Hain, Magar Paasbaan To Hai.

Aawaaz De Ke Dekh Lo, Shaayad Woh Mil Hi Jaaye,
Warna Ye ‘Umr Bhar Ka Safar Raigan To Hai.

Mujh Se Bohat Qareeb Hai Tu Phir Bhi Ae Munir,
Parda Sa Koi Mere Tere Darmiyan To Hai.

دیتی نہیں اماں جو زمیں آسماں تو ہے
کہنے کو اپنے دل سے کوئی داستاں تو ہے

یوں تو ہے رنگ زرد مگر ہونٹ لال ہیں
صحرا کی وسعتوں میں کہیں گلستاں تو ہے

اک چیل ایک ممٹی پہ بیٹھی ہے دھوپ میں
گلیاں اجڑ گئی ہیں مگر پاسباں تو ہے

آواز دے کے دیکھ لو شاید وہ مل ہی جائے
ورنہ یہ عمر بھر کا سفر رائیگاں تو ہے

مجھ سے بہت قریب ہے تو پھر بھی اے منیرؔ
پردہ سا کوئی میرے ترے درمیاں تو ہے

 

Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai – Saghar Siddiqui
Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish
Bas Koi Aisi Kami Saare Safar Mein Reh Gayi – Adeem Hashmi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *