
Dhoop Nikli Din Suhaane Ho Gaye
Nasir Kazmi
Dhoop Nikli Din Suhaane Ho Gaye
Chaand Ke Sab Rang Pheke Ho Gaye
Kya Tamasha Hai Ke Be Ayam Gul
Tehniyon Ke Haath Peelay Ho Gaye
Is Qadar Roya Hoon Teri Yaad Mein
Aaine Aankhon Ke Dhandlay Ho Gaye
Hum Bhala Chup Rehne Wale Thay Kaheen
Haan Magar Halaat Aise Ho Gaye
Ab To Khush Ho Jayen Arbaab Hos
Jaise Woh Thay Hum Bhi Waise Ho Gaye
Husn Ab Hungama Ara Ho To Ho
Ishq Ke Daaway To Jhoote Ho Gaye
Ae Sukoot Shaam Gham Yeh Kya Hua
Kya Woh Sab Bimaar Achay Ho Gaye
Dil Ko Tere Gham Ne Phir Aawaz Di
Kab Ke Bichhday Phir Akhatay Ho Gaye
Aa’o Nasir Hum Bhi Apne Ghar Chalein
Band Is Ghar Ke Dareechay Ho Gaye
دھوپ نکلی دن سہانے ہو گئے
چاند کے سب رنگ پھیکے ہو گئے
کیا تماشا ہے کہ بے ایام گل
ٹہنیوں کے ہاتھ پیلے ہو گئے
اس قدر رویا ہوں تیری یاد میں
آئنے آنکھوں کے دھندلے ہو گئے
ہم بھلا چپ رہنے والے تھے کہیں
ہاں مگر حالات ایسے ہو گئے
اب تو خوش ہو جائیں ارباب ہوس
جیسے وہ تھے ہم بھی ویسے ہو گئے
حسن اب ہنگامہ آرا ہو تو ہو
عشق کے دعوے تو جھوٹے ہو گئے
اے سکوت شام غم یہ کیا ہوا
کیا وہ سب بیمار اچھے ہو گئے
دل کو تیرے غم نے پھر آواز دی
کب کے بچھڑے پھر اکٹھے ہو گئے
آؤ ناصرؔ ہم بھی اپنے گھر چلیں
بند اس گھر کے دریچے ہو گئے
Kisi Ke Dukh Ko Zarurat Thi Pardah Poshi Ki – Sajid Raheem
Hazaar Ranj Sar Aankhon Pe, Baat Hi Kya Hai – Urdu Ghazal
Sabab Woh Pooch Rahe Hain Udaas Hone Ka – Rahat Indori



![Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/09/pexels-dan-hamill-144328-436791-390x220.jpg)
