Ahmad Faraz

Dil Behlta Hai Kahan Anjum O Mahtab Se Bhi – Faraz

دل بہلتا ہے کہاں انجم و مہتاب سے بھی - احمد فراز

Dil Behlta Hai Kahan Anjum O Mahtab Se Bhi 

Dil Behlta Hai Kahan Anjum O Mahtab Se Bhi
Ab To Hum Log Gaye Dida E Be-Khwab Se Bhi

Ro Pada Hoon To Koi Baat Hi Aisi Ho Gi
Main Ke Waqif Tha Tere Hijr Ke Adaab Se Bhi

Kuch To Us Aankh Ka Sheeva Hai Khafa Ho Jana
Aur Kuch Bhool Hui Hai Dil E Baitab Se Bhi

Ae Samundar Ki Hawa Tera Karam Bhi Maloom
Pyaas Saahil Ki To Bujhti Nahin Selaab Se Bhi

Kuch To Us Husn Ko Jaane Hai Zamana Saara
Aur Kuch Baat Chali Hai Mere Ahbaab Se Bhi

Dil Kabhi Gham Ke Samundar Ka Shunawar Tha Faraz
Ab To Khauf Aata Hai Ek Mauja E Paayaab Se Bhi

دل بہلتا ہے کہاں انجم و مہتاب سے بھی
اب تو ہم لوگ گئے دیدۂِ بے خواب سے بھی
رو پڑا ہوں تو کوئی بات ہی ایسی ہو گی
میں کہ واقف تھا ترے ہِجر کے آداب سے بھی
کچھ تو اُس آنکھ کا شیوہ ہے خفا ہو جانا
اور کچھ بھول ہوئی ہے دلِ بیتاب سے بھی
اے سمندر کی ہوا تیرا کرم بھی معلوم
پیاس ساحل کی تو بُجھتی نہیں سیلاب سے بھی
کُچھ تو اُس حُسن کو جانے ہے زمانہ سارا
اور کُچھ بات چلی ہے مرے احباب سے بھی
دل کبھی غم کے سمندر کا شناور تھا فرازؔ
اب تو خوف آتا ہے اِک موجہِ پایاب سے بھی

 

Dhoop Nikli Din Suhaane Ho Gaye – Nasir Kazmi
Dastoor-e-Mohabbat Ka Sikhaya Nahi Jaata – Purnam Allahabadi
Ghazal – Sone Sone Daar-o-Rasan Batlate Hain

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *