
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisi Ne
Poet: Raghib MuradAbadi
Dil-E-Ummid Toda Hai Kisi Ne
Sahaara De Ke Chhoda Hai Kisi Ne
Na Manzil Hai Na Manzil Ka Nishan Hai
Kahan Pe La Ke Chhoda Hai Kisi Ne
Main In Shisha-Garon Se Puchhta Hun
Ki TuTa Dil Bhi Joda Hai Kisi Ne
Qafas Ki Tiliyan Rangin Kyun Hain
Yahan Pe Sar Ko Phoda Hai Kisi Ne
Chaman Mein Ba-Khuda Shabnam Nahin Hai
Yahan Daman Nichoda Hai Kisi Ne
Hai Diwanon Ko Zanjiron Se Nisbat
Ye Rishta Khub Joda Hai Kisi Ne
Mohabbat Mein Mujhe Barbaad Kar Ke
Lahu Dil Ka Nichoda Hai Kisi Ne
دل امید توڑا ہے کسی نے
سہارا دے کے چھوڑا ہے کسی نے
نہ منزل ہے نہ منزل کا نشاں ہے
کہاں پہ لا کے چھوڑا ہے کسی نے
میں ان شیشہ گروں سے پوچھتا ہوں
کہ ٹوٹا دل بھی جوڑا ہے کسی نے
قفس کی تیلیاں رنگین کیوں ہیں
یہاں پہ سر کو پھوڑا ہے کسی نے
چمن میں بخدا شبنم نہیں ہے
یہاں دامن نچوڑا ہے کسی نے
ہے دیوانوں کو زنجیروں سے نسبت
یہ رشتہ خوب جوڑا ہے کسی نے
محبت میں مجھے برباد کر کے
لہو دل کا نچوڑا ہے کسی نے
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya (Lyrics)
Unke Dar Peh Pohanchne Tou Payein [Lyrics]
Raah Aasaan Ho Gayi Hogi (Lyrics) – Nusrat Fateh Ali Khan




