
Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha
Poet: Munir Niazi
Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha
Jab Tak Raha Main Saath Mere Yeh Hunar Raha
Subah Safar Ki Raat Thi Taare The Aur Hawa
Saya Sa Ek Der Talak Baam Par Raha
Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi
Par Main Bula Raha Tha Jise Be-Khabar Raha
Guzri Hai Kya Mazay Se Khayalon Mein Zindagi
Doori Ka Yeh Tilsam Bara Kargar Raha
Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai Yehi Dil Mein Dar Raha
Is Aakhri Nazar Mein Ajab Dard Tha Muneer
Jane Ka Us Ke Ranj Mujhe Umar Bhar Raha
دل جل رہا تھا غم سے مگر نغمہ گر رہا
جب تک رہا میں ساتھ مرے یہ ہنر رہا
صبح سفر کی رات تھی تارے تھے اور ہوا
سایا سا ایک دیر تلک بام پر رہا
میری صدا ہوا میں بہت دور تک گئی
پر میں بلا رہا تھا جسے بے خبر رہا
گزری ہے کیا مزے سے خیالوں میں زندگی
دوری کا یہ طلسم بڑا کارگر رہا
خوف آسماں کے ساتھ تھا سر پر جھکا ہوا
کوئی ہے بھی یا نہیں ہے یہی دل میں ڈر رہا
اس آخری نظر میں عجب درد تھا منیرؔ
جانے کا اس کے رنج مجھے عمر بھر رہا
Shehron Mein Aisay Manzar Bhi Nazron Se Tukratay Hain
Umar Ghatti Rahi Khabar Na Hui – Abdul Hamid Adam
Utho Galay Se Laga Lo, Matte Gila Dil Ka | Ameer Minai
Aaj Ki Shab To Kisi Tour Guzar Jaayegi, – Parveen Shakir




