
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum
Habib Jalib Poetry in Urdu
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain
Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bhi Rehte Hain
Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badlin
Lekin Un Piyasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Behte Hain
Ek Humein Aawara Kehna Koi Bara Ilzaam Nahi
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain
Jin Ki Khaatir Shehar Bhi Chhoda Jin Ke Liye Badnaam Hue
Aaj Wahi Hum Se Begane Begane Se Rehte Hain
Woh Jo Abhi Us Raah Guzar Se Chaak Garebaan Guzra Tha
Us Aawara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hain
دل کی بات لبوں پر لا کر اب تک ہم دکھ سہتے ہیں
ہم نے سنا تھا اس بستی میں دل والے بھی رہتے ہیں
بیت گیا ساون کا مہینہ موسم نے نظریں بدلیں
لیکن ان پیاسی آنکھوں سے اب تک آنسو بہتے ہیں
ایک ہمیں آوارہ کہنا کوئی بڑا الزام نہیں
دنیا والے دل والوں کو اور بہت کچھ کہتے ہیں
جن کی خاطر شہر بھی چھوڑا جن کے لیے بدنام ہوئے
آج وہی ہم سے بیگانے بیگانے سے رہتے ہیں
وہ جو ابھی اس راہ گزر سے چاک گریباں گزرا تھا
اس آوارہ دیوانے کو جالبؔ جالبؔ کہتے ہیں
Aisaa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi – Khumar Barabankvi
Ae Husn-e-Lala Faam! Zara Aankh To Mila – Saghar Siddiqi
Agarche Main Ek Chatan Sa Aadmi Raha Hoon – Mohsin Naqvi