Urdu Poetry

Dil Ki Deewana Tabiyat Ko Museebat Na Bana – Urdu Poetry

Dil Ki Deewana Tabiyat Ko Museebat Na Bana

 

Dil Ki Deewana Tabiyat Ko Museebat Na Bana
Tujh Se Yarana Hai Yarana Mohabbat Na Bana

Main Tujhe Dil Ki Sunata Hoon Mujhe Tu Dil Ki
Is Sahulat Ko Meri Jaan Azeeyat Na Bana

Hum Ko Le De Ke Talluq Hi Bacha Hai Tera
Is Ko Mashkook Na Kar Baais-E-Tuhmat Na Bana

Ek Deewar Ne Rishton Ka Taqaddus Toda
Bhai Roka Tha Tujhe Ghar Mein Yeh Lanat Na Bana

Betiyan Rizq Mein Barkat Ka Sabab Hoti Hain
Ghar Ki Rahmat Ko Ghalat Soch Se Zahmat Na Bana

Aks Ka Hona Hai Mashroot Tere Hone Se
Khud Ko Pehchaan Magar Aks Ko Hairat Na Bana

Neend Ko Taaq Pe Dhar Aur Diya Pehlu Mein
Giryah-E-Aakhir-E-Shab Mein Koi Diqat Na Bana

Ikhtilafaat Hain Insaan Ka Khasa Tahseen
Behs Karni Hai To Kar Behs Ko Nafrat Na Bana

Younus Tahseen

دل کی دیوانہ طبیعت کو مُصیبت نہ بنا
تُجھ سے یارانہ ہے، یارانہ مُحبّت نہ بنا

میں تُجھے دل کی سُناتا ہوں مُجھے تُو دل کی
اس سہُولت کو مری جان اذیّت نہ بنا

ہم کو لے دے کے تعلُق ہی بچا ہے تیرا
اسکو مشکُوک نہ کر باعثِ تُہمّت نہ بنا

ایک دیوار نے رشتوں کا تقّدُس توڑا
بھائی روکا تھا تُجھے گھر میں یہ لعنّت نہ بنا

بیٹیاں رِزق میں برکت کا سبب ہوتی ہیں
گھر کی رحمّت کو غلط سوچ سے زحمّت نہ بنا

عکس کا ہونا ہے مشرُوط ترے ہونے سے
خود کو پہچان مگر عکس کو حیرت نہ بنا

نیند کو طاق پہ دھر اور دِیّا پہلُو میں
گریہءِ آخرِ شبّ میں کوئی دِقت نہ بنا

اختلافات ہیں انسان کا خاصہ تحسین
بحث کرنی ہے تو کر. بحث کو نفرت نہ بنا

یونس تحسین

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *